Sham rangeen huyi hai,
tere aanchal ki tarah
Surmaye rang sajaa hai,
tere kajal ki tarah
Paas ho tum mere dil ke,
mere aanchal ki tarah
Meri aakhon me base ho,
mere kajal ki tarah
Sham rangeen huyi hai,
tere aanchal ki tarah
Aasmaa hai, mere armaano ka,
darpan jaise
Aasmaa hai, mere armaano ka,
darpan jaise
Dil yoon dhadake,
meraa khanke
teraa kangan jaise
Mast hai aaj hawayein,
mere payal ki tarah
Surmaye rang sajaa hai,
tere kajal ki taraaah
Sham rangeen huyi hai,
tere aanchal ki tarah
Meri hasti pe kabhi yoon,
koyi chhaaya hi naa tha
Meri hasti pe kabhi yoon,
koyi chhaaya hi naa tha
Tere nazdeek main pehle,
kabhi aaya hi naa tha
Main hu dharti ki tarah tum,
kisi badal ki tarah
Surmaye rang sajaa hai,
tere kajal ki tarah
Aaa.. sham rangeen huyi hai,
tere aanchal ki tarah
Aisi rangeen mulaqat kaa,
matlab kya hai
Aisi rangeen mulaqat kaa,
matlab kya hai
Inn chhalakte huye,
jazbaat kaa
matlab kya hain
Aaj har dard bhula do,
kisi pagal ki tarah
Surmaye rang sajaa hai,
tere kajal ki taraaah
Aaa.. sham rangeen huyi hai,
tere aanchal ki tarah
Paas ho tum mere dil ke,
mere aanchal ki tarah
Sham rangeen huyi hai,
tere aanchal ki tarah
Paas ho tum mere dil ke,
mere aanchal ki tarah