tera ghum khaar hoon lekin
main tujh tak aa nahin sakta
main apne naam teri bekasi
likhwa nahin sakta
teri aankh ke aansoo pee jaaun
aisi meri taqdeer kahaan
teri aankh ke aansoo pee jaaun
aisi meri taqdeer kahaan
tere ghum mein tujhko bahlaaun
aisi meri taqdeer kahaan
teri aankh ke aansoo pee jaaun
ae kaash jo mil kar rote
kuchh dard to halke hote
bekaar na jaate aansoo
kuchh daag jigar ke dhote
phir ranj na hota itna
hai tanhaai mein jitna
ab jaane ye rasta ghum ka
hai aur bhi lamba kitna
haalaat ki uljhan suljhaun
haalaat ki uljhan suljhaun
aisi meri taqdeer kahaan
teri aankh ke aansoo pee jaaun
kya teri zulf ka lehra
hai ab tak wohi sunahra
kya ab tak tere dar pe
deti hain hawayein pehra
lekin hai ye kham khayali
teri zulf bani hai sawali
mohtaaj hai ek kali ki
ek roz thi phoolon waali
wo zulf paresha mahkaaun
wo zulf paresha mahkaaun
aisi meri taqdeer kahaan
teri aankh ke aansoo pee jaaun
aisi meri taqdeer kahaan
teri aankh ke aansoo pee jaaun