Tum se mil ke saj gayi sapnon ki duniya
Rehne laga hoon main ab toh wahi
Mil ke tum se, mil gayi hain saari khushiyaan
Lag jaaye na nazar inko kahin
Milne mujhe, haan, roz aate hain
Khwaab tere, khwaab tere
Saath tere mujhe le jaate hain
Haath tere, haath tere
Sajaniya, karke tujhse pyaar main
Bhool gaya sansaar main
Peechhe-peechhe tere main chaloon
Sajaniya, tera hi hoon yaar main
Chhod ke ghar-baar main
Tere siva ab kahaan rahoon?
Sajaniya, karke tujhse pyaar main
Bhool gaya sansaar main
Peechhe-peechhe tere main chaloon
Sajaniya, tera hi hoon yaar main
Chhod ke ghar-baar main
Tere siva ab kahaan rahoon?
Oh-oh, oh-oh-oh
Sun-sun ke teri saari meethi-meethi baatein
Mujhko bhi kahin teri lat na lag jaaye
Kaise kaatoon main tere bin yeh din aur raatein?
Tu zara yeh bata de
Hmm, dekhoon tujhe toh kho jaate hain
Hosh mere, hosh mere
Sochoon tujhe toh mil jaate hain
Josh mere, josh mere
Sajaniya, karke tujhse pyaar main
Bhool gayi sansaar main
Peechhe-peechhe tere main chaloon (main chaloon)
Sajaniya, teri hi hoon yaar main
Chhod ke ghar-baar main
Tere siva ab kahaan rahoon? (Kahaan rahoon?)
Sajaniya, karke tujhse pyaar main
Bhool gaya sansaar main
Peechhe-peechhe tere main chaloon (main chaloon)
Sajaniya, tera hi hoon yaar main
Chhod ke ghar-baar main
Tere siva ab kahaan rahoon?
Oh-oh, oh-oh-oh