menu-iconlogo
logo

Sandese Aate Hai

logo
歌詞
{{Ex - ((Chorus = Abcd.....))}}

((Ho Ho Ho..))

Sandese aate hai, humein tadpaate hai

Jo chitthi aati hai, wo poochhe jaati hai

Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?

Likho kab aaoge?

Ke tum bin ye ghar soona, soona hai

Sandese aate hai, humein tadpaate hai

Jo chitthi aati hai, wo poochhe jaati hai

Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?

Likho kab aaoge?

Ke tum bin ye ghar soona, soona hai

Kisi dilwaali ne, kisi matwaali ne

Humein khat likha hai, ye humse poochha hai

Kisi ki saanson ne, kisi ki dhadkan ne

Kisi ki choodi ne, kisi ke kangan ne

Kisi ke kajre ne, kisi ke gajre ne

Mahekti subahon ne, machalti shaamon ne

Akeli raaton ne, adhoori baaton ne,

tarasti baahon ne

Aur poochha hai tarsi nigaahon ne

Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?

Likho kab aaoge?

Ke tum bin ye dil soona, soona hai

(((Sandese aate hai,......))))

Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?

Likho kab aaoge?

Ke tum bin ye dil soona, soona hai

Mohabbat waalon ne, hamaare yaaron ne

Humein ye likha hai, ke humse poochha hai

Hamaare gaaon ne, aam ki chhaaon ne

Puraane peepal ne, baraste baadal ne

Khet khaliyaanon ne, hare maidaanon ne

Basanti belon ne, jhoomti belon ne

Lachakte jhulon ne, behekte phoolon ne,

chatakti kaliyon ne

Aur poochha hai gaaon ki galiyon ne

Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?

Likho kab aaoge?

Ke tum bin gaon soona, soona hai

[[[Sandese aate hai,...]]]

Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?

Likho kab aaoge?

Ke tum bin ye ghar soona, soona hai

(((Ho Ho Ho....)))

Kabhi ek mamta ki, pyaar ki Ganga ki

Jo chitthi aati hai, saath woh laati hai

Mere din bachpan ke, khel wo aangan ke

Wo saaya aanchal ka, wo teeka kaajal ka

Wo lori raaton mein, wo narmi haathon mein

Wo chaahat aankhon mein, wo chinta baaton mein

Bigadna upar se, mohabbat andar se,

kare wo Devi Maa

Yahin har khat mein poochhe meri maa

Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?

Likho kab aaoge?

Ke tum bin angan soona, soona hai

(((Sandese aate hai,...)))

Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?

Likho kab aaoge?

Ke tum bin ye ghar soona, soona hai

Ae, guzarne waali hawa bataa, mera itna kaam karegi kya?

Mere gaaon jaa, mere doston ko salaam de

Mere gaaon mein hai jo wo gali, jahan rehti hai meri dilrubaa

Use mere pyaar ka jaam de, use mere pyaar ka jaam de

Wahi thodi door hai ghar mera

Mere ghar mein hai meri boodhi Maa

Meri maa ke pairon ko chhoo ke Tu

use uske beta ka naam de

Ae, guzarne waali hawa zara

Mere doston meri dilrubaa

Meri maa ko mera payaam de

Unhe jaake tu ye payaam de

Main waapas aaoonga, main waapas aaoonga

Phir apne gaaon mein, usiki chhaaon mein

Ki Maa ke aanchal se, gaaon ke peepal se

Kisi ke kaajal se, kiya jo waada tha wo nibhaoonga

((((Main ek din aaoonga, main ek din aaoonga)))

(((Main ek din aaoonga, main ek din aaoonga)))

(((Main ek din aaoonga, main ek din aaoonga)))

((Main ek din aaoonga, main ek din aaoonga)))

Jai hind