Kabhi mere ghar kee dahleez pe
Jo turn kadam rakhoge
To sillen lagi kachi deevaaron pe
Khud ko dekh ke chaukana nahin
Haan chaukana nahin
Tumhaare jaane ke baad
Koyi inhen rangane aayaa nahin
Tumhaare jaane ke baad
Koyi inhen rangane aayaa nahin
Khone mein toota sa phooldaan
Bistar pe bikhri kitaaben
Chadar kee vo tikhi see silawatein
Yaadon kee chubhti daraaren
Sochaa tha koyi savaar degaa
Gam mein muje bahaar degaa
Tumhaare jaane ke baad
Koyi bhee dastak hui hee nahin
Tumhaare jaane ke baad
Koyi bhee dastakyahaan hui hee nahin
Suna hai vo gaalon pe bhavar liye
Chalatee hai nange paanv aankhon mein sahar liye
Sooraj buje to yahaan bhee aanaa
Faasalon mein turn kho naajanaa
Kabhi to bhule se turn
Mere is ghar ko mahakaana
Kabhi to bhule se turn
Mere is ghar ko mahakaana