Yeh To Sach Hai Ke Bhagwan Hai
Hai Magar Phir Bhi Anjaan Hai
Yeh To Sach Hai Ke Bhagwan Hai
Hai Magar Phir Bhi Anjaan Hai
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka
Uss Vidhaata Ki Pehchaan Hai...
Yeh To Sach Hai Ke Bhagwan Hai...
Janmdaata Hai Jo, Naam Jinse Mila
Thamkar Jinki Ungli Hai Bachpan Chala
Hooooo...
Kaandhe Par Baithke, Jinke Dekha Jahaan
Gyan Jinse Mila, Kya Bura Kya Bhala
Itne Upkaar Hain Kya Kahen
Yeh Bataana Naa Aasaan Hai
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka
Uss Vidhaata Ki Pehchaan Hai...
Yeh To Sach Hai Ke Bhagwan Hai...
Janm Deti Hai Jo, Maa Jise Jag Kahe
Apni Santaan Mein Pran Jiske Rahe
Hooooo...
Loriyan Hothon Par, Sapne Bunti Nazar
Neend Jo Vaar De, Hanske Har Dukh Sahe
Mamta Ke Roop Mein Hai Prabhu
Aapse Paaya Vardaan Hai
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka
Uss Vidhaata Ki Pehchaan Hai...
Yeh To Sach Hai Ke Bhagwan Hai...
Aapke Khwab Hum, Aaj Hokar Jawaan
Uss Param Shakti Se Karte Hain Prarthna
Hooooo...
Inki Chhaya Rahe, Rehti Duniya Talak
Ek Pal Reh Sake, Hum Naa Jinke Bina
Aap Dono Salaamat Rahen
Sabke Dil Mein Yeh Armaan Hai
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka
Uss Vidhaata Ki Pehchaan Hai...
Yeh To Sach Hai Ke Bhagwan Hai
Hai Magar Phir Bhi Anjaan Hai
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka
Uss Vidhaata Ki Pehchaan Hai...