Sun sahiba sun pyaar ki dhun
Sun sahiba sun pyaar ki dhun
Oh maine tujhe chun liya
Tu bhi mujhe chun chun chun
Sun sun sahiba sun pyaar ki dhun
Oh maine tujhe chun
liya tu bhi mujhe chun
Sun sahiba sun pyaar ki dhun
aaaahhhaa aahhhaaa aaaaahhaaaaaaaa
Koi haseena kadam pehle badhaati nahin
Majboor dil se na ho to paas aati nahin
Ho majboor dil se na
ho to paas aati nahin
Khushi mere dil ko had se zyaada hai
Tere sang zindagi bitaane ka iraada hai
Oh preet ke yeh dhaage
tu bhi sang mere gun
Sun sahiba sun sun sun sun pyaar ki dhun
Oh maine tujhe chun liya
Tu bhi mujhe chun chun chun chun
Sun sahiba sun pyaar ki dhun
Aah aah
Tu jo haan kahe to ban jaaye baat yeh
Ho tera ishaara to chal
doon main saath bhi
Ho tera ishaara to chal
doon main saath bhi
Tere liye sahiba naachungi main gaaungi
Dil mein basa le tera ghar bhi basaaungi
Oh daal de nigaahon
kar de pyaar ka shagun
Sun sahiba sun pyaar ki dhun
aaaaa aaaa aaaaaaaaaa
Mera hi khoon e jigar dega gawa hi meri
Tere hi haathon likhi
shaayad tabaahi meri
Ho tere hi haathon likhi
shaayad tabaahi meri
Dil tujhpe waara hai
jaan tujhpe waarungi
Aaye ke na aaye tera rasta nihaarungi
Oh kar le kubul mujhe hoga bada pun
Sun sahiba sun sun sun pyaar ki dhun
Oh, maine tujhe chun liya
Tu bhi mujhe chun chun chun chun
Sun sahiba sun pyaar ki dhun
Aah aah
Oh sahiba sahiba, oh sahiba sahiba oh
Oh maine tujhe chun
liya tu bhi mujhe chun
Sun sahiba sun