sar se sarke, sarke chunariya,
laaj bhari ankhiyo mee
ho maiya gaaye saajan
behna hoke magan naache sakhiyo mee
naino me nindiya, nindiya me sapne
sapno me saajan jabse basa
bahaare aayi jivan me
nayi halchal hai tan man me,
ik rup basa hai ankhiyo me
sar se sarke, sarke chunariya,
laaj bhari ankhiyo me
kuchh lamhe jivan ke chura le
saaso ki ye aag bujhaa de
duniya se dur nayi duniya basa lain
jab se mili hai tujhse nigahe
jaadu ye kaisa mujhpe hua
ke dil jab tanha lagta hai
mujhe kuchh aisa lagta hai
tu jhaank raha hai ankhiyo me
sar se sarke, sarke chunariya,
laaj bhari ankhiyo mee