Ab ke hum bichhde to shayad
kabhi Khwaabon mein mile
Ab ke hum bichhde to shayad
kabhi Khwaabon mein mile
Jis tarah sookhe huye Phool
kitaabon mein mile
Ab ke hum bichhde shayad
Dhoond ujde huye Logon mein
wafa ke moti
Dhoond ujde huye Logon mein
wafa ke moti
Yeh khazane tujhe
Mumkin hai Kharabon mein mile
Ab ke hum bichhde to shayad
Tu khuda hai na mera
Ishq farishton jaisa
Tu khuda hai na mera
Ishq farishton jaisa
Dono insaan hain
to kyun itne hijaabon mein mile
Jis tarah sookhe huye Phool
kitaabon mein mile
Ab ke hum bichhde to shayad
Gham e duniya bhi
Gham e yaar mein Shaamil kar lo
Gham e duniya bhi
Gham e yaar mein Shaamil kar lo
Nasha badhta hai
sharaaben jo sharabon mein mile
Ab ke hum bichhde to shayad
Ab na wo main hoon na tu hai
na wo maazi hai faraaz
Ab na wo main hoon na tu hai
na wo maazi hai faraaz
jaise do saaye tamanna ke
saraabon mein milen
Jis tarah sookhe huye Phool
kitaabon mein mile