Ye Watan tumhara hai
tum ho pasbaan is ke
Ye chaman tumhara ha
tum hu naghmaga is ke
Ye Watan tumhara hai
tum ho pasbaan is ke
Iss Chaman Kay Phoolon Par
Rung O Aab Tum Say Hay
Is Zameen Ka Har Zarra
Aftab Tum Say Hay
Yeh Faza Tumhari Hay
Behr o bur Tumhaaray Hain
Kehkeshan Kay Yeh Jallay
Rehguzar Tumhaaray Hain
Ye Watan tumhara hai
tum ho pasbaan is ke
Ye chaman tumhara ha
tum hu naghmaga is ke
Is Zameen Ki Matti Main
Khoon Hay Shaheedon Ka
Arz E Pak Markaz Hay
Qaum Ki Umeedon Ka
Nazm o zabt Ko Apna
Meer e karwan Jano
Waqt Kay Undheron Main
Apna Aap Pehchano
Ye Watan tumhara hai
tum ho pasbaan is ke
Ye chaman tumhara ha
tum hu naghmaga is ke
Meer E Karvan Hum Thay
Rooh E Karvan Tum Ho
Hum To Sirf Unwan Thay
Asl Dastan Tum Ho
Nafraton Kay Darwazay
Khud Pay Bund Hi Rakhna
Is Watan Kay Parcham Ko
Sar Baland Hi Rakhna
Yeh Vatan Tumhara Hay
Tum Ho Pasban Iss Kay
Yeh Chaman Tumhara Hay
Tum Ho Naghma Khwan Is Kay
Yeh Vatan Tumhara Hay
Tum Ho Pasban Iss Kay
Ye chaman tumhara ha
tum hu naghmaga is ke