Ye Watan Tumhara Hai
Tum Ho Pasban Is Ke
Ye Chaman Tumhara Hai
Tum Ho Naghma Khwaan Is Ke
Ye Watan Tumhara Hai
Tum Ho Pasban Is Ke
Is Chaman Ke Phoulon Par
Rang o Aab Tum Say Hay
Is Zameen Ka Her Zarra
Aftaab Tum Say Hay
Ye Fazaa Tumhaari Hay,
Bahr o Barr Tumharay Hain
Kehkashaan Kay Yeh Ujaalay
Rah Guzar Tumharay Hain
Ye Watan Tumhara Hai
Tum Ho Pasban Is Ke
Is Zameen Ki Matti Mein
Khoon Hay Shaheedon Ka
Arz e Pak Markaz Hay
Qoum Ki Ummidon Ka
Nazm o Zabt Ko Apna
Mir e Karwaan Jano
Waqt Kay Andheron Mein
Apna Aap Pehchaano
Ye Watan Tumhara Hai
Tum Ho Pasban Is Ke
Ye Zameen Muqaddas Hay,
Maan Kay Piyar Ki Soorat
Is Chaman Mein Tum Sab Ho
Barg o Baar Ki Soorat
Daikhna Gawana Mat, Daulat e Yaqin Logo
Yeh Watan Amaanat Hay
Or Tum Ameen Logo
Ye Watan Tumhara Hai
Tum Ho Pasban Is Ke
Ye chaman tumhara hay
tum ho naghma khwan iskay
Ye Watan Hamara Hai
Hum hain Pasban Is Ke
Ye chaman Hamara hay