Abhi na jao chhod kar
Ke dil abi bhara nahi
Abhi na jao chhod kar
Ke dil abhi bhara nahi
Abhi abhi to aayi ho, abhi abhi to
Abhi abhi to aayi ho,
Bahar banke chhayi ho
Hawa zara mehak to le,
Nazar zara behak to le
Yeh shaam dhal to le zara
Yeh shaam dhal to le zara
Yeh dil sambhal to le zara
Main thodi deir jee to loon
Nashe ke ghoont pee to loon
Nashe ke ghoont pee to loon
Abhi to kuchh kaha nahi
Abhi to kuchh suna nahi
Abhi na jao chhod kar
Ke dil abhi bhara nahi
Sitaare jhilmila uthe
Sitaare jhilmila uthe,
Charag jagmaga uthe
Bas ab na mujhko tokna
Bas ab na mujhko tokna
Na badhke raah rokna
Agar main ruk gayi abhi
To jaana paaungi kabhi
Yehi kahoge tum sada
Ke dil abhi nahi bhara
Jo khatm ho kisi jagah
Yeh aisa silsila nahi
Abhi nahi, abhi nahi,
Nahi nahi nahi nahi
Abhi na jao chhod kar
Ke dil abi bhara nahi
Adhoori aas, adhoori aas chhod ke
Adhoori pyas chhod ke
Jo roz yun hi jaaogi
To kis tarah nibhaaogi
Ke zindagi ki raah mein
Jawan dilonki chaah mein
Kayi makam aayenge
Jo humko aazmaayenge
Bura na maano baat ka,
Yeh pyar hai gila nahi
Haan yehi kahoge tum sada
Ke dil abhi bhara nehi
Haan dil abhi bhara nahi
Nahi nahi nahi nahi