menu-iconlogo
huatong
huatong
avatar

Hari Aur Main

Narcihuatong
nancyw321huatong
歌詞
作品
ye duniyaa gorakh-dhandha hai

ye duniyaa gorakh-dhandha hai

saba jag maaya mein andha hai

saba jag maaya mein andha hai

jis andhe ne prabhu ko dekha nahin

vo rup bataana kya jaane

jis andhe ne prabhu ko dekha nahin

vo rup bataana kya jaane

koyi kithna chaahe gyaan kahe

bhaghavaan ko paanaa kya jaane

jis andhe ne prabhu ko dekha nahin

vo rup bataana kya jaane

dikhaave se, bataane se ya mandiron mein jaane se

jataane se, pahanaave se ya badee baathen laane se

milenge naa hari tuje kisi bhee thakaane mein

dil hee padaa mailaa to naa milenge jamaane mein

vyast hai zamaanaa saara hari ko hee paane mein

paane mein naa mazaa, jo mazaa hai samaane mein

chaahata hoon samaanaa, main naa paane kee hoon daud mein

samaya naa ganvaata hoon main aastha bataane mein

hari jaane aastha, kyun hee main safai doon?

saare hee jamaane ko to kya hee main gavaahi doon

aastha kee meri bas baath yahi boluun

hari hai sachchaee, main to bas parchaai hoon

vo jaane, pahachaane muje, mere ye taraane

bhoomika prahlaad kee main dharaa pe nibhaane

aayaa hoon main, sakha, aur pooree hee nibhaaoonga

upaskon se zyada hari ke deewaane

jis andhe ne prabhu ko dekha nahin

vo rup bataana kya jaane

jis andhe ne prabhu ko dekha nahin

vo rup bataana kya jaane

koyi kithna chaahe gyaan kahe

bhaghavaan ko paanaa kya jaane

jis andhe ne prabhu ko dekha nahin

vo rup bataana kya jaane

jis andhe ne prabhu ko...

jis andhe ne prabhu ko...

jis andhe ne prabhu ko...

vo rup bataana kya jaane

ye gaana nahin prarthana, kaagazon mein aatma

aastha too aake chaahe lenaa meri aazamaa

hari hai sukoon mere lage har ghaav ka

de rahe ho saath mera, dhanyavad aapkaa

mil rahee pahchaan muje aapke hee kaaran

aapane hee naam kiya, main to tha saadhaaran

duniyaa ka kya hai, ye to dosha dene baithee hai

aapke adeshon ka main karne baithaa paalan

hari binaa kaaya meri vaise hee besudh

aapakee krupa se jitun saare chhide yuddh

ghumta main peeth pe baithaa ke, prabhu, aapako

muje jo banaaya hota aapane garud

kalee ka ye kaal kare dharm ke viruddh

aapkaa ye naam kare daas ko bhee shuddh

ghumta main peeth pe baithaa ke, prabhu, aapako

muje jo banaaya hota aapane garud

jis andhe ne prabhu ko dekha nahin

vo rup bataana kya jaane

jis andhe ne prabhu ko dekha nahin

vo rup bataana kya jaane

koyi kithna chaahe gyaan kahe

bhaghavaan ko paanaa kya jaane

jis andhe ne prabhu ko dekha nahin

vo rup bataana...

muje jo banaaya hota aapane garud

jisane kabhi prema kiya hee nahin

vo prema nibhaanaa kya jaane

更多Narci熱歌

查看全部logo

猜你喜歡