humari sanson mein aaj tak wo
heena ki khusboo mehak rahi hai
humari sanson mein aaj tak wo
heena ki khusboo mehak rahi hai
labon pe nagmein machal rahe hain
labon pe nagmein machal rahe hain
nazar se masti chalak rahi hai
humari sanson mein aaj tak wo
heena ki khusboo mehak rahi hai
wo mere nazdeek aate aate
haya se ek din simat gaye the
wo mere nazdeek aate aate
haya se ek din simat gaye the
mere khayalon mein aaj tak wo
badan ki daali lachak rahi hai
mere khayalon mein aaj tak wo
badan ki daali lachak rahi hai
humari sanson mein aaj tak wo
heena ki khusboo mehak rahi hai
sada jo dil se nikal rahi hai
wo sher o nagmo mein dhal rahi hai
sada jo dil se nikal rahi hai
wo sher o nagmo mein dhal rahi hai
ke dil ke aangan mein jaise koi
ghazal ki jhaanjar jhanak rahi hai
ke dil ke aangan mein jaise koi
ghazal ki jhaanjar jhanak rahi hai
humari sanson mein aaj tak wo
heena ki khusboo mehak rahi hai
Gem of Ghazals
tadap mere beqarar dil ki
kabhi to un pe asar karegi
tadap mere beqarar dil ki
kabhi to un pe asar karegi
kabhi to wo bhi jalenge iss mein
jo aag dil mein dehek rahi hai
kabhi to wo bhi jalenge iss mein
jo aag dil mein dehek rahi hai
humari sanson mein aaj tak wo
heena ki khusboo mehak rahi hai
labon pe nagmein machal rahe hain
nazar se masti chalak rahi hai
humari sanson mein aaj tak wo
heena ki khusboo mehak rahi hai