mujh se pehli si muhabbat
mere mehboob na maang
mujh se pehli si muhabbat
mere mehboob na maang
mujh se pehli si muhabbat
mere mehboob na maang
mujh se pehli si muhabbat
mere mehboob na maang
maine samjha tha ke tu hai
to darakhshaan hai hayaat
tera gham hai to
gham e dahr ka jhagda kya hai
teri soorat se hai aalam mein
bahaaron ko sabaat
teri aankhon ke siva duniya mein
rakha kya hai
teri aankhon ke siva duniya mein
rakkha kya hai
tu jo mil jaaye to
taqdeer nigoon ho jaaye
yun na tha main ne faqat
chaaha tha yun ho jaaye
haan..mujh se pehli si muhabbat
mere mehboob na maang
mujh se pehli si muhabbat
mere mehboob na maang
an ginat sadiyon ke taarek
baheemaanah talism
an ginat sadiyon ke taareek
baheemaanah talism
resham o atlas o
kam khaab mein bunwaae hue
ja ba ja bikte hue
koocha o baazaar mein jism
khaak mein lithde huye
khoon mein nahlaaye huye
laut jaati hai idhar ko bhi nazar
kya ki jiye
ab bhi dil kash hai tera husn magar
kya ki jiye
ab bhi dil kash hai tera husn magar
kya ki jiye
aur bhi dukh hain zamaane mein
muhabbat ke siva
raahatein aur bhi hain
wasl ki raahat ke siva
hoo...mujh se pehli si muhabbat
mere mehboob na maang
mujh se pehli si muhabbat
mere mehboob na maang