menu-iconlogo
logo

Qaid

logo
歌詞
Zindagi bas gham mein guzar gayi

Chahat bhi matam ban gayi

Qaid hai rooh isko tu rasta dikha

Ghav kharonchta hoon main

Tune diye jo masoom ban kar

Jala diye armaan gaflat mein

Sawaal poochta hu mein

Jawab jinke ghum ya bematlab

Ahl-e-dil mujhko chubne lage

Waqt bhi mera dushman hai

Judaai de gaya aur uljhan

Titr-bitr chain mera hua

Kya puri hogayi teri hasrat

Toda dil mera bematlab

Guzarish hai meri aur na ab tu sataa

Yaado ki gali mei tu jo aa mile

To khulti aankhein

Sapne mere bhi kyu tabah mile

Kyu tujhse bhaage

Kyu likhta meri ye sab shikayatein

Tu padhti na jo

Mudke kabhi jo tu vida kare

Sahara toh do

Kaamil nahi

Kahaniya rahengi saari adhoori

Sifarishein lagi

Kyu kardeti ansooni

Mai lipta raha

Ki chuthe na saaya tera

Bhigoti rahi

Surkho mei aasu gehra

Aaj phir likhu us yaad ke tale

Jis ke zariye hum aap ke bane

Kyu zehen me ek aah si rahi

Mehtaab hum aftaab ban gye

Usi dor se lipta rahu

Bas yaad karta rahu

Juda toh hue hai hum

Par aahate sunta rahu

Tinka sa ye pyaar kyu

Rehti zubaan pe dhaar kyu

Misaal ban gye hai par Izhaar ki chinta kyu

Sunaai deti hai aahat

Bhule na bhoolu teri yeh aadat

Doshi bhi khudko mein

Thehra raha

Yeh aag bhujti hee nahi

Aankhon mein aansu qaid hai kahin

Rihayi iss janam

Na mumkin meri