jaate hue
ye pal chhin
kyun jeevan liye jaate
jaate hue
ye pal chhin
kyun jeevan liye jaate
jodein yehi jodein yehi
todein sab naate
jaate hue
ye pal chhin
kyun jeevan liye jaate
mann jitna jeena chaahe
tan utna hi marta jaaye
insaan ki himaakat dekho
umeed hi karta jaaye
koi raah manzil ki
kahin soojhe to batlaaye
jaate hue
ye pal chhin
kyun jeevan liye jaate
rang aur sugandh ka jaadu
sadiyon se chalta aaya
insaan inhin mein dooba
nadaan yehi bharmaaya
ab kaun ye soche kya
khoya aur kya paaya
jaate hue
ye pal chhin
kyun jeevan liye jaate
vishwaas mein vaas hai vish ka
aasha mein chhupi hai niraasha
shabdon ke sang na behna
hai chal se bhari har bhasha
insaan ka dil bhi
pathhar sa jaaye tarasha
jaate hue
ye pal chhin
kyun jeevan liye jaate
jodein yehi jodein yehi
todein sab naate
jaate hue
ye pal chhin
kyun jeevan liye jaate
kyun jeevan liye jaate
kyun jeevan liye jaate