Main shaayar to nahin
Main shaayar to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko shaayari aa gay
Main shaayar to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko shaayari aa gay
Main aashiq to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko aashiqui aa gayi
Main shaayar to nahin
Pyaar ka naam maine suna tha magar
Pyaar kya hai, yeh
mujhko nahin thi khabar
Pyaar ka naam maine suna tha magar
Pyaar kya hai, yeh
mujhko nahin thi khabar
Main to uljha raha uljhanon ki tarha
Doston mein raha dushmanon ki tarha
Main dushman to nahin
Main dushman to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko dosti aa gayi
Main shaayar to nahin
Sochta hoon agar main dua maangta
Haath apne uthaakar main kya maangta
Sochta hoon agar main dua maangta
Haath apne uthaakar main kya maangta
Jab se tujhse mohabbat main karne laga
Tab se jaise ibaadat main karne laga
Main kaafir to nahin
Main kaafir to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko bandagi aa gayi
Main shaayar to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko shaayari aa gayi
Main shaayar to nahin