Jai ho jai ho shankara bholenath shankara
Aadi dev shankara
He shivaay shankara
Tere jaap ke bina
Bholenath shankara
Chale ye saans kis tarah
He shivaay shankara
Meraa karm tu hi jane
Kya bura hai kya bhala
Tere raste pe main to
Aankh moond ke chalaa
Tere naam kiI jot ne
Sara har liya tamas meraa
Namo namo ji shankara bholenath shankara
Jai trilokanath shambhu he shivaay shankara
Namo namo ji shankara bholenath shankara
Rudradev he maheshwara
Sristi ke janam se bhi
Pehle tera vaas tha
Ye jag rahe yaa naa rahe
Rahegi teri aasthaa
Kya samay kya pralay
Donon main teri mahanata
Mahanata mahanata
Sipiyon kiI ont main bholenath shankara
Motiyaan ho jis tarah he shivaay shankara
Mere man main shankara bholenath shankara
Tu basaa he us tarah he shivaay shankara
Mujhe bharam tha jo hai meraa tha kabhi nahin meraa
Arth kya nirarth kya jo bhi hai sabhi tera
Tere saamne hai jhukaa mere sar pe haath rakh tera
Namo namo ji shankara bholenath shankara
Jai trilokanath shambhu he shivaay shankara
Namo namo ji shankara bholenath shankara
Rudradev he maheshwara
Chandramaa lalaat pe
Bhasma hai bhujaaon main
Vastra baagh chaal kaa
Hai khadaau paanv main
Pyaas kya ho tuje
Ganga hai teri jataaon main jataaon main jataaon main
Dusron ke vaaste
Bholenath shankara
Tu sadaive hi jiya
He shivaay shankara
Maanga kuch kabhi nahin
Bholenath shankara
Tuune sirf hai diya
He shivaay shankara
Samudr manthan kaa tha samay jo aa padaa
Dwand donon lok main vishaamrita pe tha chhidaa
Amrit sabhi main baant ke
Pyaalaa vish kaa tuune khud piya
Namo namo ji shankara
Bholenath shankara
Jai trilokanath shambhu he shivaay shankara
Namo namo ji shankara
Bholenath shankara
Rudradev he maheshwara
Rudradev he maheshwara
Rudradev he maheshwara