menu-iconlogo
logo

Darya

logo
歌詞
Dunya ke riwaajon me

Ham jal rahe mehraajo me

Ham rehte weraano me

Wehem me sitaaro ke

Ham wehshaton

Ke dar pe kyun

Khare hain heraan se?

Khwahishon ke dar pe jaake

Hasraton se paala para

Khwabon ki tabeeron ki

Shakal pe kab se jaala para

Phenke pathar neher me to

Aks ne lalkaara

Mere raks ke qadam me har aik jeeb ko hi taala para

Chaala para pair me to sitam ko khayaal aa para

Dunya ko samajhne nikle khud pe hi sawaal aa para

Pathar phenka sheeshe pe aks ko sakoon nahi

Likhe 70 geet saal me kehte mujhme junoon nahi

Me hoon hi nahi yahan pe sare rote phir kis baat ko?

Me doghlon se milu rehta gila mere haath ko

Ke milta rehta unse me aafat me jo na saath hon

Bachega jab koi rasta nai phir darne ki kya baat ho

Dunya ke riwaajon me

Ham jal rahe mehraajo me

Ham rehte weraano me

Wehem me sitaaro ke

Ham wehshaton

Ke dar pe kyun

Khare hain heraan se?

Haaray haaray haaray

Haaray haaray haaray

Haaray haaray haaray

Dil ka darya dooba jaare

Haaray haaray haaray

Haaray haaray haaray

Haaray haaray haaray

Dil ka darya dooba jaare

Ghotay khaata dil is berukh se darya ke andar

Me bhi puchun yehi khudse ke kya is rakha hai yahan chal par

Roshni ko poojte

Sab dosti ko loot'te

Aur koste hain doosron ko

Chor na in dhoghlon ko

Saare aasteeno me hi saanp rakha karte hain ke

Bina baap yahan waar karne sab hi parte hain

Me bhi satah pe teru kya?

Me bhi khatah se ghair hun kya?

Me dua ke laiq?

Bad dua se mu me pherun kya?

Khara hua yahan leke chalni seena murda batain

Phir bhi na ye chore jeena dil ab tak dharkna chahe

Band karli aankhain lab khol apni baat kar

Tu kab se yahan qaid hai Aaj khud ko hi Azaad kar

Kese ho dost

Mein kuch likh k nahi laya hoon

K kia bolna ha yehan pe

Kyun k dost sey baat karnay k liye sochna thori parta ha

Aap bas bol detay ho

"Dost hai, samajh jayega"

Chalta hoon phir

Thori der k liye tou mein nay bhi maan liya tha k

Shaid khuwab nahi ha yeh

Khair