menu-iconlogo
huatong
huatong
zakir-sudhmahadev-zaat-cover-image

Zaat

Zakir sudhmahadevhuatong
mistigartz2003huatong
歌詞
作品
Mere lafzon mein taqat

Hai zuban mein sharafat

Gali gali mein galazat

Kon karega hifazat

Kis ki leke hum ijazat

Honi hai bagawat

Sar pe sehra hindustan ka

Khoon mein sawaal sa

Jawaan ka jawaab la

Imaan ka gumaan

Haraam ka aaraam

Anjaan mein shaitan

Kon deendaar yahan

Kon be imaan

Dhadi ka hisaab

Muchhon ka azaab

Mein bada khan

Tu bakarwaal

Mein pandit saaf

Tu dalit chamaar

Meri badi cast

Teri chhoti zaat

Tu chhota mein bada

Hum mein yehi qaaf kyun

Tu kala ho ya gora

Ya shakal teri saaf kyun

Tu jute kare saaf

Tujhe karna dusra kaam kyun

Yeh fiction nahi koi

Na hi koi kahani

Meri baat hai sanjeeda

Isko sunna thoda gour se

Hindu judte shaam ko

Jab peete hain sharab

Khulta dimag aur bolein sach saaf

Ke mile Musalmaan

Usse karein cheer faad

Iss desh se dein bhaga

Ab bari Musalmaan ki

Jab Masjid se nikle

Padh kar namaaz

Toh hindu ke khilaaf

Ke rehte hum sath

Kon lagata humein haath

Jalane ke bajaye

Qabar mein dete

Seedha gaarh

Ye gana thoda hatt kar hai

Mozoh se

Yahan ishq ki baat ni hai

Logon se

Bana hun namazi aur

Rozon se par

Ladta nahi mein

Kamzonron se

Zehen hai mera khula

Aur zaat ki hai baat

Sadiyon se reet

Vaid mein hai saaf

Karma banaya aur

Baant diya samaj

Har ek ek ki thi

Apni jageh

Misaal deta hun

Aur batata wajeh

Sab se niche Shudra

Galazat mein palein

Uper aye Vaishya t

Tijarat karein

Khshetrya jo rahein

Jung keliye tayar

Aur Brahminon ne pura

Kiya hai raaj

Inn ki izzat samaj mein hai

Sab se upper

Jo bane bade pandit

Taleem ka nizaam

Sawaal un logon se jo

Mante ye batein

Gunah kya uss bache ka

Jo paida kahin aur

Chamaar ke ghar ya

Rajput ke sath

Yehi sara hota

Musalmaan ke sath

Tu gujjar Bakkarwal toh

Na mil hamare sath

Ab kuchh log boleinge

Ke aisa thodi hota hai

Aaj sab barabar

Hain aur sab ko hi haqq hai

Andaza iss baat se tum kar sakte ho

Ladki ho gujjar ki ya bakkarwal ki

Tum karoge kya shadi

Jo honge unchi zaat ke

Sheikh peer khan ye toh unchi zaat

Aur bolne mein aata ke hum sab sath

Ek dusre ke dushman ek dusre ke Dost

Ek dusre se hass kar ek dusre ka khouf

Ek dusre ke darpan ek dusre se josh

Kar lena hazam meri

Likhayi thodi kadwi hai

Andar itni garmi bahar itni sardi hai

Masjidon pe chad kar minaar giradein

Bandook foji taane talwaar utha dein

Azaadi ke lalch gulaam bana dein

Allah hu Akbar ya Jai Shree Ram

Jihaad ke peeche Qayinaat khatam

Jai Shree Ram Hindustan garaq

Laanat hai mujhe pe jo boli na sachayi

Mandir banaoge sarkaar tumhari

Masjid banegi toh jihad ki sawari

Siyasat garam logon ko bharam

Hogi tarraqqi jab vote deinge hum

Hum mein itni taaqat

Ke hilla dein parliament

Giregi sarkaar naya PM tayaar

Par mere bhaiyo ye nahi hai asaan

Unhon ne kharcha paisa

Desh ko khareeda

Tum ne becha zameer ko

Woh desh rahe bech

Aur hamara kya

Hum toh fakeer aadmi hain

Uthayeinge jhola aur

Chal padeinge

Aur hum

Mar padeinge

Sar kateinge

Lath chaleinge

Bomb fateinge

Ghar girienge

Log jaleinge

Chor raheinge

Rule kareinge

Dusri zaat ke log doosri qoum ka raaj

Desh hoga barbaad

Fesh hoga pareshaan

Jung ka hai aalam aur

Mar rahi awaam

Ye aur kuchh nahi

Bass masla e zaat

Masla e zaat

Masla e zaat

更多Zakir sudhmahadev熱歌

查看全部logo