logo

Safar

logo
الكلمات
lamba yeh safar hai

dil ye kyu bekhabar hai

kyu yeh chahe koi aur

jaane de kal ki baatein

beete hue pal voh saare

tu chalte reh manzil ki aur

jab sunaa sa ghar laage

aur manzil na ho aage

tu thaam lena mera haath

aur

jaane de jo jaye

yeh jhoote naate saare hai

bas tu na chhod khudka saath

yeh safar hai tere akele ka

tu hai suraj tu hi gehna

ha thoda sa hai sehna

par tu seh lega

kisi dagar pe aake

na ruk jana

kisi ke aage na jhuk jaana

yeh karna nahi aasaan

par tu kar lega

phir kabhi tum yaad karke

saari baatein

has kar keh do ge

yaar hum bhi kya the

kyu tu khud ko rulaye

kyu tu khud se khafa hai

khud k hi dil ki sun tu kyuki

yeh safar hai tere akele ka

tu hai suraj tu hi gehna

ha thoda sa hai sehna

par tu seh lega

kisi dagar pe aake

na ruk jana

kisi ke aage na jhuk jaana

yeh karna nahi aasaan

par tu kar lega