menu-iconlogo
logo

Yaad

logo
Liedtext
Tu yeh jaane tere aage mazboor hain

Kis baat ka guroor

Fayda uthayi yeh kaisa yeh suroor hai

Deta saadayen kyun na tujhko sunayi de

Tera deewana poori duniya gawahi de

Main laparwah sarphira par bewafa nahi

Kab tak yeh aashiq aakhir apni safayi de

Tu haan kar kabhi main badlu abhi

Hai meri museebat yeh tera zameer

Chehra asal tu apna dikhayi jaaye

Kyun phir mujhko satayi jaaye

Teri bas yaad, yaad, yaad, yaad

Aaye mujhe baar, baar, baar, baar

Yeh sone na de jeene na de

Aur kisi ka hone na de

Teri bas yaad, yaad, yaad, yaad

Mein bola I'm going home but

Asal mein I'm going crazy

Double black for the pain

Rollie rollie got me faded

You played me, haan theek hai,

I'll be over you by the weekend

Been in the game for 10

Kala mere dil ke kitni qareeb hai

Guzaari hai gurbat mein raatein

Kitaabon mein milni nahi baatein

Aane wale aate honge

Mujhe unki fikar hai jo nahi aate

Tere bin eid nai eid

Chehra nahi qaabil-e-deed

Chehre pe fikar hai wazeh

Tu chehre ko padhna to seekh

Tu mujhko raaste de

Main tujhko badle mein faasle dun

Tu mujhko aasre de

Main dil ki tizori se raaz ek dun

Chahe phir saans na lein

Tere deedar aur maut qubool

Karun qurban tujhpe yeh zindagi

To hogi har saans wasool

Main badlun to banu phir kya

Ke tu mera hoke bhi na

Got everything that I need

Give you anything that you want

Yeah I smoke trees, write songs

Teri soch, all night long

I could right all my wrongs

But you're gone and

Tu haan kar kabhi main badlu abhi

Hai meri museebat yeh tera zameer

Chehra asal tu apna dikhayi jaaye

Kyun phir mujhko satayi jaaye

Teri bas yaad, yaad, yaad, yaad

Aaye mujhe baar, baar, baar, baar

Yeh sone na de jeene na de

Aur kisi ka hone na de

Teri bas yaad, yaad, yaad, yaad

Raat yeh sone ke liye magar hum soye nahi

Karwat badalte rehte sochon mein hum khoye rahe

Yaadon ke baste liye aankhon ko bhigoye nahi

Khud pe yeh fakhar, woh mere jaane pe roye nahi

Yaar deewar bane, rishton mein daraar dale

Guzre kya saal bade, ghum'on ke pahaad bane

Sabki zubaan bane dil yeh mazaar bane

Aa na darbaar mere likh rahe raat ke 4 baje

Lafzon ke taajir, hum hijrat o hijr ke aadi

Barsa den ye baadal, zamane se pucho hum kitne bahadur

Wo aaj bhi samjhein humein paagal

Khud dhundein jawaab, kyun puchun sawaal

Meri kya mazaal? Vehmo gumaan, kya dun main misaal?

Tu hai bemisaaal, har basti ujaagar

Hum shab ke musaafir, safar bhi mutaasir

Mai urdu ka rakim, nazar badi qaatil,

Hustle meri wazeh, gawah mera asim

Main duniya se ajiz, likh raha teri khaatir

Raatein yeh dhalti nahi

Waqt ki tarah kyun badalti rahi

Maanegi woh apni ghalti nahi

Main aaj bhi wohi, koyi jaldi nahi

Teri bas yaad, yaad, yaad, yaad

Aaye mujhe baar, baar, baar, baar

Yeh sone na de jeene na de

Aur kisi ka hone na de

Teri bas yaad, yaad, yaad, yaad

Teri bas yaad, yaad, yaad, yaad

Yaad von Asim Azhar/TALHAH YUNUS/Talha Anjum - Songtext & Covers