Jaaye kahaan hai wafa yahaan raahegaan
Saahiban jo laga tha kabhi
Woh fareb e nazar aasmaan
Ab sharafat nahi ye rivayat nahi baaqi
Ho kisi ki kadar aisi aadat nahi baaqi
Aisa nahi kahin koi hai
Ghalat fehmi jo bani hai
Khoya nahi apnaapan
Ehsaas ki raah chuni hai
Tarasti hain nigaahein meri
Takti hain raahein teri
Sunn kabhi aahein meri
Yeh kaise main bataaun
Tujhe soti nahin aankhein meri
Kat’ti nahin raatein meri..
Ki Khawaaishein pe khabon ki barishein
Azaabon ki kahaan kahin gayi
Dhoop mere hisse ke sawabon ki
Ki dard bhare naalon pe
Kar karam sawalon ke
Kyun sitam hai tera
tere chaahne walon pe..
Tarasti hain nigaahein meri
Takti hain raahein teri
Chaahiye panaah teri
Yeh kaise main bataaun
Tujhe soti nahin aankhein meri
Kat’ti nahin raatein meri..