Uske hontho pe mera naam jab aaya hoga
Khud ko rusvayi se fir kaise bachaya hoga
Sun ke yaaro sab fasana meri barbadi ka
Kya use apna sitam yaad na aaya hoga
Main gham ke ghar mein qaid hoon be-ghar nahi hoon main

Thokar na yun laga mujhe
Thokar na yun laga mujhe pathar nahi hoon main

Main gham ke ghar mein qaid hoon
Khush ho ke dekhte ho kya meri tabahi ko

Koi suhani sham ka manzar nahi hoon main
Koi suhani sham ka manzar nahi hoon main
Thokar na yun laga mujhe
Thokar na yun laga mujhe pathar nahi hoon main
Main gham ke ghar mein qaid hoon be-ghar nahi hoon main
Main gham ke ghar mein qaid hoon
Hai tazkara dukhon ka mere sare shehar main

Afsos aik teri zuban par nahi hoon main
Afsos aik teri zuban par nahi hoon main
Thokar na yun laga mujhe
Thokar na yun laga mujhe pathar nahi hoon main
Main gham ke ghar mein qaid hoon be-ghar nahi hoon main
Main gham ke ghar mein qaid hoon
Aandhiyan gam ki chalengi to sanwar jaaunga
Main to dariya hun samandar me utar jaaunga
Mujhko sooli pe chadhane ki zaroorat kya hai
Mere haathon se kalam chheen lo mar jaaunga
Aankho ke is taraju mein tu mujhko tol dekh

Khuddar lakh hoon magar khudsar nahin hoon main
Khuddar lakh hoon magar khudsar nahin hoon main
Thokar na yun laga mujhe
Thokar na yun laga mujhe pathar nahi hoon main
Main gham ke ghar mein qaid hoon be-ghar nahi hoon main
Main gham ke ghar mein qaid hoon
Is wakt tere sawalon ka mein kya jawab doon
Khud aapne aap ko bhi mayassar nahi hoon main