Mera dil na jane kab se
Tera pyar dhoond ta hain
Jo khizan main kho chuki hai
Wo bahar dhoond ta hai
Mera dil na jane kab se
Tera pyar dhoond ta hain
Hamid_WE @ sabinayasmin05
Kaheen phool ban ke khushboo
Kaheen saz ban ke naghma
Kaheen ishq soz ban ke
Kaheen husn ban ke jalwa
Teri mad bhari nigahon
Ka khumaar dhoond ta hai
Jo khizan main kho chuki hai
Wo bahar dhoond ta hai
Mera dil na jane kab se
Tera pyar dhoond ta hain
~~~~~~~~~~~~~~~
~~~ sabinayasmin05~~~~
Main bhatak gaya hun koi
Mujhe raasta dekha de
Main kahan pohoch gaya hun
Mujhe ye koi bata de
Jo mila de karwan se
Wo ghubaar dhoond ta hai
Jo khizan main kho chuki hai
Wo bahar dhoond ta hai
Mera dil na jane kab se
Tera pyar dhoond ta hain
~~sabinayasmin05~~~
Mujhe bhool jane wale
Tere saath saath hun main
Jo na dhal saki hai ab tak
Wo sitam ki raat hun main
Jo khila de phool dil ke
Wo nikhar dhoond ta hai
Jo khizan main kho chuki hai
Wo bahar dhoond ta hai
Mera dil na jane kab se
Tera pyar dhoond ta hain
Tera pyar dhoon ta hain
Tera pyar dhoon ta hain