sansaar ki har shai ka
itna hi fasaana hai
ek dhundh se aana hai
ek dhundh mein jaana hai
ye raah kahaan se hai
ye raah kahaan tak hai
ye raaz koi raahi
samjha hai naa jaana hai
sansaar ki har shai ka
itna hi fasaana hai
ek dhundh se aana hai
ek dhundh mein jaana hai
ek pal ki palak par hai
thehri huyi ye duniyaa
ek pal ke jhapkne tak
har khel suhaana hai
sansaar ki har shai ka
itna hi fasaana hai
ek dhundh se aana hai
ek dhundh mein jaana hai
kya jaane koi kis par
kis mod pe kya beete
iss raah mein aye raahi
har mod bahana hai
sansaar ki har shai ka
itna hi fasaana hai
ek dhundh se aana hai
ek dhundh mein jaana hai
lara la lala la lala
lara la lala la lala la lala
lara la lala la lala
lara la lala la lala