Yeh raat bheegi bheegi,
yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere
woh chaand pyara pyara
Yeh raat bheegi bheegi,
yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere
woh chaand pyara pyara
Kyun aag si laga ke
gumsum hai chandni
Sone bhi nahin deta
mausam ka yeh ishara
Ithlaati hawa
neelam sa gagan
Kaliyon pe yeh behoshi ki nami
Aise mein bhi kyun bechain hai dil
Jeevan mein na jaane kya hai kami
Kyun aag si laga ke
gumsum hai chandni
Sone bhi nahin deta
mausam ka yeh ishara
Yeh raat bheegi bheegi,
yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere
woh chaand pyara pyara
Jo din ke ujaale mein na mila
Dil dhoondhe aise sapne ko
Is raat ki jagmag mein doobi
Main dhoondh rahi hoon apne ko
Yeh raat bheegi bheegi,
yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere
woh chaand pyara pyara
Kyun aag si laga ke
gumsum hai chandni
Sone bhi nahin deta
mausam ka yeh ishara
Aise mein kahin kya koi nahin
Bhoole se jo humko yaad kare
Ik halki si muskaan se jo
Sapnon ka jahan aabad kare
Yeh raat bheegi bheegi,
yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere woh
chaand pyara pyara
Kyun aag si laga ke
gumsum hai chandni
Sone bhi nahin deta
mausam ka yeh ishara
Yeh raat bheegi bheegi,
yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere woh
chaand pyara pyara