menu-iconlogo
logo

Khwahish (feat. DRJ Sohail)

logo
Lyrics
DRJ

Aankh laal, ab kaali raat ho jaayegi

Dard likhne baithoon, shayari ho jaayegi

Jitni door meri baat jaane waali hai

Utni door inki soch bhi nahi jaayegi

Mujhe girane ki firaak me ye baithe hain

Rehbar sirane chiraag liye baithe hain

Puchte hain, maine dekha kya hai zindagi mein

Maine jannat ke janaze uth′te dekhe hain

Mere hum-dard, mujhpe dard-o-zulm kare

Dua Khuda se, unke darjo ko buland kare

Sikandar jaise, ki kabar ka thikaana nahi

Banda mitti ke, kis baat ka ghamand kare

Khaane se jyada namak zakhmo pe tha

Yakeen gairon pe, shak apno pe tha

Khush hua, jab dekha laut'te Iqbal ko

Nahi, wo lauta nahi, main sapno me tha

Tarbiyat pe meri yeh sawaal kar rahe hain

Mere urooj pe dua-e-zawaal kar rahe hain

Dub jaati thi kashti meri kaagaz ki

Aaj kaagaz bhi mere kamaal kar rahe hain

Beghar mai, bhoola maa ke haath ke zaayke

Behan deti fir bhi sadke apne bhai ke

Dost kehte, "Main to yaaron ka bhi yaar hoon"

Aur lad ke baitha main khud apne bhai se

Manzil pe thi maut, main darta kaise

1200 ki job, karze ada karta kaise

Main joker jaisa hasta takleef mein bhi

Mere andar ka ye adaakaar marta kaise

Mera zikr band karo, main koi aayat nahi hoon

Duniya farebi, main khud wafa ke layak nahi hoon

Sawal chalenge toh haath inke kaapenge

Decade mera hai, main ek din wala Nayak nahi hoon

Inki nafrat ka bahana ban gaya hoon

Hasa kar kitno ka sahara ban gaya hoon

Tootne pe inki khwaahish hogi poori

Sahi kehte, main sitara ban gaya hoon

Inki nafrat ka bahana ban gaya hoon

Hasa kar kitno ka sahara ban gaya hoon

Tootne pe inki khwaahish hogi poori

Sahi kehte, main sitara ban gaya hoon

Apne bachpan ko main sikko mein hi tol aaya

Apni raahato ko peeche kahin chhod aaya

Khushboo sab mein pehchanta, main nasal kaise

Gaya phool lene, kaate saare tod laya

Main sher, ye saare mujhko "shayar" kehte

Mein to hoon raakh, yeh fir bhi mujhko "fire" kehte

Fikar me janta kehti, "Mar jaayega re tu"

Dekh, mera time aaya, mujhko sab muraad kehte

Maut mukkmal, main darne wala nahi hoon

Jo jung haq hai, main ladne wala wahi hoon

Taaliyo se jab tak bhar na dunga stadium

Qasam Khuda ki, main marne wala nahi hoon

Bina wajah inka jalna mujhpe aam hai

Khair, poochte hain jab hota koi mujhse kaam hai

Chillar jaise bajte aas-paas mere yeh

Inki akkalon se bhi mote mujhpe daam hai

Bartan beche to ghar pe mere meal aaya

Woh bole "chor", jab khilauna main chheen laya

Khelta tha Kho Kho, aaj kho-kho mein khelta hoon

Nikla qaid se, karke lock crore ki deal aaya

Seedhi pe chadha, tu rokne ko saanp la

Bewajah dadagiri nahi, jaa apna baap la

Aaj sanki hain, doglon pe aag likh doon

Sohail, kanhi se jaake fire proof panne la

Kala yeh dekh meri yeh saare hakke-bakke rehte

Hai 200 fan page, idol mujhko haq se kehte

Hasakar kitno ko abaad kiya hai maine

Yeh baat main nahi, yeh baat mere views kehte

Woh tha tufaan, jo dastak deke aaya tha

Akela tha, laga lashkar leke aaya tha

Poochnege, "Kiski hai lohe jaisi legacy?"

Kehna, "Wo Dongri wala aag leke aaya tha"

Inki nafrat ka bahana ban gaya hoon

Hasa kar kitno ka sahara ban gaya hoon

Tootne pe inki khwaahish hogi poori

Sahi kehte, main sitara ban gaya hoon

Inki nafrat ka bahana ban gaya hoon

Hasa kar kitno ka sahara ban gaya hoon

Tootne pe inki khwaahish hogi poori

Sahi kehte, main sitara ban gaya hoon