Aaye nahin
Kya hua, kya pata?
Main door yoon tujhse hua
Yaadon mein kho chuka (kho chuka)
Dhundle hain saare kyun raaste?
Saaya bhi na mera ab saath de
Raaton ke ye taare sab jaante
Mujhe sambhaalte (sambhaalte)
Meri ye aankhen
Dhoonde wo raahein
Jo jaaye wahaan jahaan tum ho
Aur tumse mila ke us pal ko thama de
Dheeme-dheeme badhte chale faasle (faasle)
Tode se bhi toote na ye raabte
Hai kaisa ye sama?
Pukaare mujhe ye awaazein
Bulaaye mujhe yehi yaadein
Mujhe wahi waadein tumne jo nibhaaye nahin
Kisse karoon ab ye baatein
Mujhko bulaa ke khud tum aaye nahin
Pukaare mujhe yehi yaadein
Mujhe wahi waadein tumne jo nibhaaye nahin
Kaise kaatoon ab ye raatein
Mujhko bulaa ke tum aaye nahin
Aaye nahin
Kaise boloon main, ab ham akele hain
Raaton mein mile khaali andhere ye
Taare bhi ye saare lage laapata (laapata)
Soona-soona lage poora aasmaan (aasmaan)
Bhala iska kaise karoon saamna?
Bata yahaan kaise hoga chaandna
Ab teri na hai meri ye saansein
Jo chalti kabhi thin bas tere hi na se
Ab rukti nahin ye man kitna bhi chaahe
"Kya galti hui ye?" Sab poochhe fizaayein
Bulaaye mujhe wahi yaadein
Mujhe wahi waadein tumne jo nibhaaye nahin
Kisse karoon ab ye baatein
Mujhko bulaa ke khud tum aaye nahin
Pukaare mujhe yehi yaadein
Mujhe wahi waadein tumne jo nibhaaye nahin
Kaise kaatoon ab ye raatein
Mujhko bulaa ke tum aaye nahin
Aaye nahin