Tarq e taluqat pe
Roya na tu na main
Lekin yeh kya ke chain se
Soya na tu na main
Wo humsafar tha haan
Wo humsafar tha haan
Wo humsafar tha
Magar us se
Humnawa'i na thi
Wo humsafar tha
Magar us se
Humnawa'i na thi
Ke dhoop chaon
Ke dhoop chaon ka alam raha
Judaai na thi
Wo humsafar tha
Magar us se
Humnawa'i na thi
Ke dhoop chaon
Ke dhoop chaon ka alam raha
Judaai na thi
Wo humsafar tha
Wo humsafar tha
Adaavatein theen
Taghaaful tha
Ranjishein theen magar
Adaavatein theen
Taghaaful tha
Ranjishein theen magar
Bicharne walay main sab kuch tha
Bewafai na thi
Bicharne walay main sab kuch tha
Bewafai na thi
Ke dhoop chaon ka
Ke dhoop chaon ka alam raha
Judaai na thi
Wo humsafar tha
Wo humsafar tha
Kajal daron
Kurkura surma saha na jaye
Jin nain mein pi basay
Dooja kon samaye
Beecharte waqt un ankhon mein thee hamari ghazal
Beecharte waqt un ankhon mein thee hamari ghazal
Ghazal bhi wo jo kisi ko kabhi sunayi na thi
Ghazal bhi wo jo kisi ko kabhi sunayi na thi
Ke dhoop chaon ka
Ke dhoop chaon ka alam raha
Judaai na thi
Wo humsafar tha
Wo humsafar tha