Sacche man se shiv shankar ka dhyan lagana chahiye
Ayenge shiv dwaar tere pe shraddha se bulana chahiye
Badi door se aya chal ke barfile parvat chad ke
Shivji ko manane aaya dhan maal bahut sa laya
Badi door se aya chal ke barfile parvat chad ke
Shivji ko manane aaya dhan maal bahut sa laya
Shiv jogi ka roop ye pyara man ko bha gaya
Me chod ke saare kaam kaaj tere dwaare aa gaya
Mene bhole ka kiya jab dhyan dekho re dekho nandi aa gaya
Mene bhole ka kiya jab dhyan dekho re nandi aa gaya
Dekho re dekho nandi aa gaya dekho re shiv ka nandi aa gaya
Dekho re dekho nandi aa gaya dekho re dekho shiv ka nandi aa gaya
Bola bhole se kya hai tujhe kaam dekho re dekho nandi aa gaya
Bola bhole se kya hai tujhe kaam dekho re dekho nandi aa gaya
Bhole ka nandi bola tu kaha ka rahne wala
Tujhe kisne yaha bulaya tu kis kaam se aaya
Shiv ka darshan karwa do chahe daulat saari le lo
Shiv ka darshan me paau sone ka bhavan banwau
Nandi usko samjhate dhanwan bhut yaha aate
Shiv darshan wo hi paate shraddha se dhyan lagate
Kapat khot abhiman chodkar shiv ka dhyan kar
Apni kaya maya par tu mat abhimaan kar
Hath jod ke kshama mang le shiv karenge tera kalyan
Nandi ne diya mujhe gyaan dekho re dekho nandi aa gaya
Nandi ki sun kar baate hum to bhari pachtate
Dhan maya se na kabhi bhi bhagwan kharide jaate
Tu saccha shiv bhandari tu paale duniya sari
He bholenath shamshani tu sabse bada hai daani
Sun baat meri abhimani ye maya aani jani
Shiv shankar sab ke data bhakto se kuch nahi chahta
Jab man se dhyan lagayega shiv ji tab darshan denge
Bholenath jab rakhe hath tere saare kaam banenge
Mera dur kiya re abhimaan dekho re dekho nandi aa gaya
Mera dur kiya re abhimaan dekho re shiv ka nandi aa gaya