Yeh raaten yeh mausam 
Nadee ka kinara, ye chanchal hawaa 
Aa.. aa... 
Yeh raaten yeh mausam 
Nadee ka kinara, ye chanchal hawaa 
Kahaa do dillon ne 
Ki milkar kabhi hum na honge jooda 
Yeh raatein yeh mausam 
Nadee ka kinaara, ye chanchal hawaa 
Ye kya baat hai aaj ki chandani me 
Ye kya baat hai aaj ki chandani me 
Ke hum kho gaye pyar ki raagani me 
Ye baahon mein baahen, ye behki nigaahe 
Lo aane lagaa zindagi ka mazaa 
Ye raatein, yeh mausam 
Nadee ka kinara, yeh chanchal hawaa 
Sitaaron ki mehfil ne karke ishaara 
Sitaaron ki mehfil ne karke ishaara 
Kahaa ab toh saara jahaan hai tumhaara 
Mohabbat jawaan ho khula aasmaan ho 
Kare koyi dil arzu kya 
Yeh raatein yeh mausam 
Nadee ka kinara, yeh chanchal hawaa 
Kasam hai tumhe tum agar mujhse ruthe 
Kasam hai tumhe tum agar mujhse ruthe 
Rahe saans jab tak yeh bandhan na toote 
Tumhe dil diya hai yeh waada kiya hai 
Sanam main tumhaari rahungi sadaa 
Ye raatein yeh mausam 
Nadee ka kinaara, yeh chanchal hawa 
Kahaa do dilon ne 
Ke milkar kabhi hum na honge jooda 
Ye raaten yeh mausam 
Nadee ka kinara ye chanchal hawa 
 Ye raaten yeh mausam 
 Nadee ka kinara ye chanchal hawa