Sukhi roti munh mein thunse pet pe mukka maar die
Hamaraa batua hae
Hamaraa batua humse choree ulta hamein udhaar die
Sar pe pathar baandh ke aundhe munh phenke paani mein
Hamare hee kirdaar ko chhine hamari hee kahaani mein
Are jeete-na-jeete lad ke rahenge
Ab na sunenge kah ke rahenge
Kaahe kaa gungan tumhaaree aisee-taisi
Are bahut hua sammaan tumhaaree aisee-taisi
Gariyaayeinge seena taan tumhaaree aisee-taisi
Are bahut hua sammaan tumhaaree aisee-taisi
Aisee-taisi
Are khoon ke chhinta
Khoon ke chhinta uda jo apana gira hai jaakar door
Are gira hai jaakar door
Are gale mein ghanti baandh ke hamko faansee die hujur
Faansee die hujur
Sancha leke hamko dhaala awaazon ke kuen mein daalaa
Chaakar banaake talavaa chataaya khanjar deke paani kataaya
Jo sikhaya vo na karenge ab na sunenge kah ke rahenge
Jabaran bane mahaan tumhaaree aisee-taisi
Are bahut hua sammaan tumhaaree
Gariyaayeinge seena taan tumhaaree
Are bahut hua sammaan tumhaaree aisee-taisi
Bandook kee nalli saamane rakkhe bole nachke dikhaa
Re bole nachke dikhaa
Re bole nachke dikhaa
Re kaali syaahi munh par pote bole sajake dikhaa
Re bole sajake dikhaa
Re bole sajake dikhaa
Bheetar bheetar ab na ghutenge ab na sunenge kah ke rahenge
Vaapas lo abhimaan tumhaaree aisee-taisi
Are bahut hua sammaan tumhaaree
Gariyaayeinge seena taan tumhaaree
Jeevan chata dimak jesaa sapane kutre chuuhe jaise
Jeevan chata dimak jesaa sapane kutre chuuhe jaise
Are ghadiyaalon ke ansu tumhaare bhed ke bhes mein gidad jaise
Are saanp kee jeebh se phunkaaro tum bole phuuten misaree jaise
Misaree jaise misaree jaise
Maaro kaato nahin darenge
Nahin darenge nahin darenge
Ab na sunenge kah ke rahenge
Bhaiyya hatheli par hai jaan
Ai tumhaaree aisee-taisi
Are bahut hua sammaan tumhaaree aisee-taisi
Gariyaayeinge seena taan tumhaaree aisee-taisi
Are bahut hua sammaan tumhaaree aisee-taisi