menu-iconlogo
logo

Chana Jor Garam

logo
Letras
L Tum tum tararara tum tum taram

Tum tum tararara tum tum taram

K Tum tum tararara tum tum taram

Tum tum tararara tum tum taram

L Tum tum taram taram

K Tum tum taram taram

L and K Duniya ke ho lakh dharam

par apna ek dharam,Chana jor garam

L Chana jor garam babu main layi majedar

Chana jor garam...

K Chana jor garam babu main laya majedar

Chana jor garam...

L Mera chana bna hai aala

jisme dalaa garam masala

Isko khayega dilwala,Chana jor garam

K Mera chana kha gya gora

Mera chana kha gya gora

Kha ke ban gya tagda ghoda

maine pakad ke usey maroda

Maar ke tangdi usko toda,Chana jor garam

Chana jor garam babu main laya majedar

Chana jor garam...

L Mere chane ki aankh sharabi,sharaabi..

Chane ki aankh sharabi..

Hoo.iske dekho gaal gulabee gulabee

dekho gaal gulabee..

K Iska koi nahi jawabi,Iska

koi nahi jawabi,

Jaise koi kudi punjabi,Jaise

koi kudi punjabi

K and L Naache chanann chanann

L Naache chanann chanann

Kothe chad ke tenu pukaraan,sunle

mere balam...Chana jor garam..

Chana jor garam babu main layi majedar

Chana jor garam..

N Mera chana kha gye gore,ho gore

mera chana kha gye gore,o gore

jo ginti mein hain thode...

Phir bhi maarein humko kode

Phir bhi maarein humko kode

Tum tum taram taram

L Tum tum taram taram

N Lakhon kode toote phir bhi

toota na dum khum,Chana jor garam

Chana jor garam babu main laya majedar

Chana jor garam...

K Chana jor garam babu main laya majedar

Chana jor garam...

chorus singing..

L Hooooooooooo...oo oo

Aaaaaaaa..

AAaaaa a aa,Hoooo hoo hooo

R hoooo oo

aaaaa aa aa a

aa aa aa hoo oo....

Mera Chana hai apni marzi ka..

N Marzi ka bhai marzi ka

R Mera Chana hai apni marzi ka..

N Marzi ka bhai marzi ka

R Ye dushman hai khudgarzi ka..

N Khudgarzi ka khudgarzi ka..

R Sar kafan baandh ke nikla hai

Deewana hai yaa pagla hai..

Mera Chana hai apni marzi ka..

N Marzi ka bhai marzi ka

Apno se naata jodega

gairon ke sar ko phodega

apna ye vachan nibhayega

maati ka karz chukayega..

R chana hai apni marzi ka

N Marzi ka bhai marzi ka

R Mit jaane ko mit jaayega

Azaad watan kar jayega..

L Na to chori hai na to daaka hai

Bas ye to ek dhamaka hai..

K Dhamake mein awaaz bhi hai..

L Ik soz bhi hai ik saaz bhi hai..

K SamJHo to baat ye saaf bhi hai

L Aur na samjho to raaz bhi hai..

ALL Apni dharti apna hai gagan

ye mera hai mera hai watan

Apni dharti apna hai gagan

ye mera hai mera hai watan

ALL MALES Is par jo aankh uthayega

zinda dafnaya jayega..

Mera chana hai apni marzi ka..

Ye dushman hai khudgarzi ka..

Mera chana hai apni marzi ka..

Ye dushman hai khudgarzi ka..