menu-iconlogo
logo

Teri Aankh Ka Jo

logo
Letras
Teri aankh ka jo ishara na hota

Teri aankh ka jo ishara na hota

To bismil kabhi dil hamara na hota

Teri aankh ka jo ishara na hota

To bismil kabhi dil hamara na hota

Teri aankh ka

Agar phul teri hasi na churate

To bechare bago ke dil tut jate

Agar phul teri hasi na churate

To bechare baago ke dil tut jate

Chaman ki ye mehfil na aabad hoti

Chaman ki ye mehfil na aabad hoti

Baharo ka aisa nazara na hota

Teri aankh ka jo ishara na hota

To bismil kabhi dil hamara na hota

Teri aankh ka

Na hote agar gesuo ke ye saye

Kaha jate ham chot dil ki dabaye

Na hote agar gesuo ke ye saye

Kaha jate ham chot dil ki dabaye

Mohabbat ka rahi bhatakta hi rehta

Mohabbat ka rahi bhatakta hi rehta

Teri zulf ka jo sahara na hota

Teri aankh ka jo ishara na hota

To bismil kabhi dil hamara na hota

Teri aankh ka.

Tera sath hai to safar hai suhana

Teri hi badaulat haseen hai zamana

Teraa saath hai to safar hai suhana

Teri hi badaulat hasin hai zamana

Agar haath mei tera daman na aata

Agar haath mei tera daman na aata

Kahi bhi hamara guzara na hota

Teri aankh ka jo ishara na hota

To bismil kabhi dil hamara na hota

Teri aankh ka.

Teri Aankh Ka Jo de Mohammed Rafi/Lata Mangeshkar/Mahendra Kapoor/Asha Bhosle - Letras y Covers