Kabhi kabhi mere dil
main khayal aata hain
Ki zindagi teri zulfon ki
narm chhaon main guzarne pati
to shadab ho bhi sakti thi.
Yeh ranj o gham ki siyahi
jo dil pe chhayi hain
Teri nazar ki shuaon
main kho bhi sakti thi.
Magar yeh ho na saka
aur ab ye aalam hain
Ki tu nahin, tera gham
teri justjoo bhi nahin.
Guzar rahi hain kuchh
iss tarah zindagi jaise,
isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin.
Na koi raah, na manzil,
na roshni ka suraag
Bhatak rahin hai andheron
main zindagi meri.
Inhi andheron main reh
jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoon meri
hum nafas, magar yoonhi
Kabhi kabhi mere dil
main khayal aata hai
Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Ke jaise tujhko
banaya gaya hai mere liye
Ke jaise tujhko
banaya gaya hai mere liye
Tu abse pehle
Sitaron mein bas rahi thi kahee
Tu abse pehle
Sitaron mein bas rahi thi kahee
Tujhe zamin pe bulaya gaya hai mere liye
Tujhe zamin pe bulaya gaya hai mere liye
Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Ke yeh badan yeh nigahein
meri amanat hain
Ke yeh badan yeh nigahein
meri amanat hain
Yeh gesuon ke
ghani chhaon hai meri khatir
Yeh honth aur ye baahein
meree amanat hain
Yeh honth aur ye baahein
meree amanat hain
Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Ke jaise bajtee hai shehnaiya si raho me
Ke jaise bajtee hai shehnaiya si raho me
Suhag raat hain
ghunghat utha raha hu mai
Suhag raat hain
ghunghat utha raha hu mai
Simat rahi hai tu sharma ke apni baho me
Simat rahi hai tu sharma ke apni baho me
Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Ke jaise tu mujhe chahegi umrr bhar yuhi
Uthegee meree taraf pyar ki nazar yunhi
Mai janta hu ke tu gair hai magar yunhi
Mai janta hu ke tu gair hai magar yunhi
Kabhi kabhie mere dil me khayal aata hai