kabhi kuchh pal jeevan ke
lagta hai ke chalte chalte
kuchh der thahar jaate hain
kabhi kuchh pal jeevan ke
lagta hai ke chalte chalte
kuchh der thahar jaate hain
kabhi kuchh pal jeevan ke
har din ki halchal se
aaj mili khamoshi
chhalki hai tan man mein
pyaar bhari madhoshi
badale badale mausam ke
mujhe rang nazar aate hain
kabhi kuchh pal jeevan ke
lagta hai ke chalte chalte
kuchh der thahar jaate hain
kabhi kuchh pal jeevan ke
ye ghadiyan fursat ki
roz kahan milti hain
ab khushiyaan haath mera
thaame huye chalti hain
mere saath gagan ye dharti
mera geet madhur gaate hain
kabhi kuchh pal jeevan ke
lagta hai ke chalte chalte
kuchh der thahar jaate hain
kabhi kuchh pal jeevan ke
kitna bhala lagta hai
suraj ka ye dhalna
ho duniyaa se door
chhup ke yahaan
tera mera yun milna
kabhi kabhi deewanepan ki
hum had se gujar jaate hain
kabhi kuchh pal jeevan ke
lagta hai ke chalte chalte
kuchh der thahar jaate hain
kabhi kuchh pal jeevan ke