
Aaja Ke Meri Jaan Ko
Aaja ke meri
Jaan ko karaar
Nahin hai
Aaja ke meri
Jaan ko karaar
Nahin hai
Tere siwaa
Kisi ka intezaar
Nahin hai
Aaja ke meri
Jaan ko karaar
Nahin hai
Puchhe koi ki
Khaabe tamannaa
Ka kyaa huaa
Range heennaa mein
Khoon hai dil ka
Milaa huaa
Aankhon ko
Aansuon pe
Ikhtiyaar
Nahin hai
Tere siwaa
Kisi ka
Intezaar
Nahin hai
Aaja ke meri
Jaan ko karaar
Nahin hai
Zakhamon ki
Aag main
Hai teri
Yaad ka dhuaan
Tu door hai
Nigaah se dil se
Judaa kahaan
Dil tujh ko
Bhoolne ka
Gunehgaar
Nahin hai
Tere siwaa
Kisi ka intezaar
Nahin hai
Aaja ke meri
Jaan ko karaar
Nahin hai
Tu hi bataa ki
Rasmein wafaa
Kaise tod doon
Kyaa reshmi kasam
Ke liye
Tujh ko chhod doon
Itnaa bhi zindagi
Se mujhe pyaar
Nahin hai
Tere siwaa
Kisi ka
Intezaar
Nahin hai
Aaja ke meri
Jaan ko karaar
Nahin hai
Manzil mujhe
Hayaat ki
Paane se
Rok le
Jo mujh ko
Tera saath
Nibhaane se
Rok le
Itni buland
Raah ki
Deewaar nahin hai
Tere siwaa
Kisi ka intezaar
Nahin hai
Aaja ke meri
Jaan ko karaar
Nahin hai
Aaja ke meri
Jaan ko karaar
Nahin hai
Aaja ke meri
Jaan ko karaar
Nahin hai