saans ka bojh rakh ke kaandho par
zindagi ne humein ye di saugaat
zakhm ke phool khwaab ke jungle
ashq ke deep intezaar ki raat
aaaa aaaaaa aaaaa aaaa
aaaa aaaaaaa aaaa
koi deewar se lag ke baitha raha
koi deewar se lag ke baitha raha
aur bharta raha siskiyan raat bhar
aaj ki raat bhi chaand aaya nahin
aaj ki raat bhi chaand aaya nahin
raah takti rahi khidkiyan raat bhar
koi deewar se lag ke baitha raha
aur bharta raha siskiyan raat bhar
koi deewar se
ghum jalaata kise koi basti na thi
ghum jalaata kise koi basti na thi
mere chaaron taraf mere dil ke siwa
mere chaaron taraf mere dil ke siwa
mere hi dil pe aa aa ke girti rahi
mere hi dil pe aa aa ke girti rahi
mere ehsaas ki bijliyaan raat bhar
koi deewar se lag ke baitha raha
aur bharta raha siskiyan raat bhar
koi deewar se
daayre shokh rangon ke bante rahe
daayre shokh rangon ke bante rahe
yaad aati rahi woh kalaai humein
yaad aati rahi woh kalaai humein
dil ke sunsaan aangan mein bajti rahi
dil ke sunsaan aangan mein bajti rahi
reshmi sharbati choodiyan raat bhar
koi deewar se lag ke baitha raha
aur bharta raha siskiyan raat bhar
koi deewar se
koi chehra koi roop aanchal koi
koi chehra koi roop aanchal koi
soch ki waadiyon se guzarta raha
soch ki waadiyon se guzarta raha
mere ehsaas ko gudgudati rahi
mere ehsaas ko gudgudati rahi
rang aur noor ki titliyaan raat bhar
koi deewar se lag ke baitha raha
aur bharta raha siskiyan raat bhar
aaj ki raat bhi chaand aaya nahin
raah takti rahi khidkiyan raat bhar
koi deewar se lag ke baitha raha
aur bharta raha siskiyan raat bhar
koi deewar se