Tune khat mein likhaa, bhool jaaoon tuje
Tune khat mein likhaa, bhool jaaoon tuje
Ye naa likhaa ki kaise bhulaaun tuje
Tune khat mein likhaa, bhool jaaoon tuje
Kaise bhuuluunga, pehlee mulaaqaat mein
Shame se laal cheharaa vo barasaat mein
Bhig kar lagaa rahee koyi murat thi too
Apsaraon se bhee kuubasurat thi too
Too hai dhadakan meri, too hai saansein meri
Ye bataa de ki kaise bataaoon tuje
Tune khat mein likhaa, bhool jaaoon tuje
Phir to too hee meri zindagi ban gayi
Ek pujari kee too bandagi ban gayi
Tere aanae se sooraj kee thi roshni
Too hanse to bikhar jaatee thi chaandanee
Mere dil mein basii ek murat hai too
Kaise ab ye yaqeen main dilaaun tuje?
Tune khat mein likhaa, bhool jaaoon tuje
Tune majaboor hoke likhaa hai ye khat
Teri haalat ka mujko bhee ehasaas hai
Ghar kee izzat kee khaatir too khamosh hai
Varna kab tera vaadaa-faraamosh hai
Zindagi se teri door main jaa raha
Hai ye koshish ki naa yaad aaoon tuje
Tune khat mein likhaa, bhool jaaoon tuje
Ye naa likhaa ki kaise bhulaaun tuje
Tune khat mein likhaa, bhool jaaoon tuje