menu-iconlogo
logo

Ye Toh Sach Hai Ki Bhagwan Hai

logo
Paroles
Yeh to sach hai ki bhagwan hai

Hai magar phir bhee anjan hai

Yeh to sach hai ki bhagwan hai

Hai magar phir bhee anjan hai

Dharti pe roop ma bap ka

Us vidhata ki pehchan hai

Yeh to sach hai ki bhagwan hai..

Janmdata hai jo nam jinse mila

Thamkar jinaki unglee hai bachpan chala

Kandhe par baithke jinke dekha jahan

Gyan jinse mila kya bura kya bhala

Itne upkar hain kya kahe

Yeh batana naa aasan hai

Dharti pe rup ma bap ka

Us vidhata ki pehchan hai

Yeh to sach hai ki bhagwan hai…

Janam deti hai jo ma jise jag kahe

Apanee santan mein pran jiske rahe

Loriya hothon par sapne bunatee najar

Nind jo var de, hanske har dukh sahe

Mamta ke rup me hai prabhu

Aapse paya vardan hai

Dharti pe rup ma bap ka

Us vidhata ki pehchan hai

Yeh to sach hai ki bhagwan hai..

Aapke khwab ham aaj hokar jawan

Us param shakti se karte hain prarthna

Unki chhaya rahe, rehatee duneeya talak

Ek pal reh sake ham naa jinke bina

Aap dono salamat rahe

Sabke dil me yeh arman hai

Dharati pe rup ma bap ka

Us vidhata ki pehchan hai

Yeh to sach hai ki bhagwan hai

Hai magar phir bhee anjan hai

Dharti pe roop ma bap ka

Us vidhata ki pehchan hai

Yeh to sach hai ki bhagwan hai

Hai magar phir bhee anjan hai

Dharti pe roop ma bap ka

Us vidhata ki pehchan hai