Aap ke anurodh pe
Main ye geet sunaata hoon
Main ye geet sunaata hoon
Aap ke anurodh pe
Main ye geet sunaata hoon
Main ye geet sunaata hoon
Apne dil ki baaton se
Aapka dil behlaata hoon
Aap ke anurodh pe
Mat poochho auron ke dukh mein
Ye prem kavi kyun rota hai
Mat poochho auron ke dukh mein
Ye prem kavi kyun rota hai
Bas chot issi ko lagti hai
Aur dard kisi ko hota hai
Door kahin koi darpan toote
Tadap ke main reh jaata hoon
Aap ke anurodh pe
Main ye geet sunaata hoon
Main ye geet sunaata hoon
Taareef main jiski karta hoon
Taareef main jiski karta hoon
Kya roop hai wo kya khushboo hai
Kuchh baat nahin aisi koi
Ye ek suroon ka jaadoo hai
Koyal ki ik kook se sab pe
Mann mein hook uthaata hoon
Aap ke anurodh pe
Main ye geet sunaata hoon
Main ye geet sunaata hoon
Main pehne phirtaa hoon jo
Wo janjirein kaise banti hain
Main pehne phirtaa hoon jo
Wo janjirein kaise banti hain
Ye bhed bataa doon geeton mein
Tasveerein kaise banti hain
Sundar honthon ki laali se
Main rang roop churaata hoon
Aap ke anurodh pe
Main ye geet sunaata hoon
Main ye geet sunaata hoon
Apne dil ki baaton se
Aapka dil behlaata hoon
Aap ke anurodh pe