Kisi patthar ki murat se
Muhabbat ka irada hai
Parastish ki tamanna hai
Ibadat ka irada hai
Kisi patthar ki murat se
Muhabbat ka irada hai
Parastish ki tamanna hai,
Ibadat ka irada hai
Kisi patthar ki murat se....
Jo dil ki dhadakane samjhe
Na aankho ki juban samjhe
Jo dil ki dhadakane samjhe
Na aankho ki juban samjhe
Najar ki guftagu samjhe
Na jajabon ka bayan samjhe
Najar ki guftagu samjhe
Na jajabon ka bayan samjhe
Usike samne uski, shikayat ka irada hai
Usike samne uski, shikayat ka irada hai
Kisi patthar ki murat se
Muhabbat ka irada hai
Parastish ki tamanna hai
Ibadat ka irada hai
Kisi patthar ki murat se....
Suna hai har jawan patthar
Ke dil mein aag hoti hai
Suna hai har jawan patthar
Ke dil mein aag hoti hai
Magar jab tak na chhedo,
Sharm bhi parde me soti hai
Yeh socha hai ki dil ki
Baat usake rubaru keh de
Natija kuch bhi nikale
Aaj apni aarju keh de
Har ik bejaan takalluf se
Bagawat ka irada hai
Har ik bejaan takalluf se
Bagawat ka irada hai
Kisi patthar ki murat se....
Muhabbat berukhi se aur
Bhadkegi woh kya jane
Muhabbat berukhi se aur
Bhadkegi woh kya jane
Tabiyat is ada pe aur
Phadkegi woh kya jane
Tabiyat is ada pe aur
Phadkegi woh kya jane
Woh kya jane ki apna kis
Kayamat ka irada hai
Woh kya jane ki apna kis
Kayamat ka irada hai
Kisi patthar ki murat se
Muhabbat ka irada hai
Parastish ki tamanna hai
Ibadat kaa irada hai
Kisi patthar ki murat se....