menu-iconlogo
logo

Tumhari Nazar Kyon Khafa Ho Gayi

logo
Paroles
Tumhari nazar kyun khafa ho gayi

Khata bakhsh do ghar khata ho gayi

Tumhari nazar kyun khafa ho gayi

Khata bakhsh do gar khata ho gayi

Hamara iraada to kuchh bhi na tha

Tumhari khata khud saza ho gayi

Hamara iraada to kuchh bhi na tha

Tumhari khata khud saza ho gayi

Saza hi sahi aaj kuchh to mila hai

Saza me bhi ik pyar ka silasila hai

Saza hi sahi aaj kuchh to mila hai

Saza me bhi ik pyar ka silasila hai

Mohabbat ka ab kuchh bhi anjam ho

Mulaqat ki ibtidaa ho gayi

Tumhari nazar kyun khafa ho gayi

Khata bakhsh do ghar khata ho gai

Hamara iraada to kuchh bhi na tha

Tumhari khata khud saza ho gayi

Mulaqat par itne maghrur kyun ho

Hamari khushamad pe majbur kyun ho

Mulaqat par itne maghrur kyo ho

Hamari khushamad pe majbur kyo ho

Manane ki adat kaha pad gayi

Sataane ki taalim kya ho gayi

Tumhari nazar kyun khafa ho gayi

Khata bakhsh do ghar khata ho gai

laa laala laala lalalalalaa

laala laala lalalalalaa lalalalalaa

Satate na ham to manate hi kaise

Tumhe apane nazdik laate hi kaise

Satate na ham to manate hi kaise

Tumhe apane nazdik laate hi kaise

Kisi din ka chahat ko arman tha

Kubul aaj dil ki duaa ho gai

Tumhari nazar kyon khafa ho gayi

Khata bakhsh do gar khata ho gayi

Hamara iraada to kuchh bhi na tha

Tumhari khata khud saza ho gayi

lalaa laalalaa laalalaa laalalaa

lalaa laalalaa laalalaa laalalaa