menu-iconlogo
logo

Tumhe aur kya doon lower scale

logo
avatar
Mohammad Rafi/Lata Mangeshkarlogo
ѕαмαα🦋ѕυѕн💫for_you💫logo
Chanter dans l’Appli
Paroles
Tumhen aur kyaa duun main dil ke sivaay

Tum ko hamaari umar lag jaaye

Tum ko hamaari umar lag jaaye

Tumhen aur kyaa duun main dil ke sivaay

Tum ko hamaari umar lag jaaye

Tum ko hamaari umar lag jaaye

Muraaden ho puri, saje har tamanna

Muhabbat ki duniya ke, tum chaand ban na

Bahaaron ki manzil pe, hasana hasaana

Khushi mein hamaari bhi, aawaaz sun na

Kabhi zindagi mein koi gham na aaye

Tum ko hamaari umar lag jaaye

Tum ko hamaari umar lag jaaye

Tumhen aur kya dun main dil ke sivaay

Tum ko hamaari umar lag jaaye

Tum ko hamaari umar lag jaaye

Mujhe jo khushi hai, tumhen kya bataaun

Bhala dil ki dhadkan ko, kaise chhipaaun

Kahin ho na jaaun, khushi se main paagal

Tumhen dekh kar, aur bhi muskuraaun

Khuda dil jalon ki, nazar se bachaaye

Tum ko hamaari umar lag jaaye

Tum ko hamaari umar lag jaaye

Tumhen aur kya dun main dil ke sivaay

Tum ko hamaari umar lag jaaye

Tum ko hamaari umar lag jaaye

Sitaaron se uncha ho, rutaba tumhaara

Bano tum har ik zindagi, ka sahaara

Tumhen jis se ulfat ho, mil jaaye tum ko

Samajh lo hamaari, du’a ka ishaara

Muqaddar tumhaara, sada jag magaaye

Tum ko hamaari umar lag jaaye

Tum ko hamaari umar lag jaaye

Tumhen aur kya dun main dil ke sivaay

Tum ko hamaari umar lag jaaye

Tum ko hamaari umar lag jaaye