Tu hai ab joh baahon mein, qarar hai
Rab ka shukrana
Saanson mein hai nasha, khumar hai
Rab ka shukrana
Tu hi ab mera deen hai, imaan hai
Rab ka shukrana
Mera kalma hai tu, azaan hai
Rab ka shukrana
Rab ka ... shukrana
Tu mila toh sab mila
Ab kisi se kya gila
Tujhe main simtoon, aa main bikhroon
Teri baahon mein
Tu mila toh sab mila
Ab kisi se kya gila
Tujhe main simtoon, aa main bikhroon
Teri baahon mein fanaa ho jaaun main
Tu hi ab duniya meri, jahaan hai
Rab ka shukrana
Khwabon ki, khayalon ki udaan hai
Rab ka shukrana
Tu hi ab mera deen hai, imaan hai
Rab ka shukrana
Mera kalma hai tu, azaan hai
Rab ka shukrana
Sabse ho jaaun pare
Joh ishara tu kare
Ab toh rehna hai tujhi mein
Gumshuda hoon main
Sabse ho jaaun pare
Joh ishara tu kare
Ab toh rehna hai tujhi mein
Gumshuda hoon main teri baahon mein
Jazbo ka ab toh naya bayaan hai
Rab ka shukrana
Naya rutba nayi shaan hai
Rab ka shukrana
Tu hi ab mera deen hai, imaan hai
Rab ka shukrana
Mera kalma hai tu, azaan hai tu
Rab ka shukrana
Rab ka ... rab ka
Rab ka ... shukrana