Kabhi kabhi mere dil mein
khayaal aata hai
Kabhi kabhi mere dil mein
khayaal aata hai
Ke jaise tujhko
Banaya gaya hai mere liye
Ke jaise tujhko
Banaya gaya hai mere liye
Tu abse pehle
Sitaron me bas rahi thi kahin
Tu abse pehle
Sitaron me bas rahi thi kahin
Tujhe zamin pe
Bulaya gaya hai mere liye
Tujhe zamin pe
Bulaya gaya hai mere liye
Kabhi kabhi mere dil mein
Khayaal aata hai
Ke ye badan ye nigahein
Meri amanat hain
Ke ye badan ye nigahein
Meri amaanat hain
Ye gesuon ki
Ghani chhaon hai meri khatir
Ye hont aur ye bahein
Meri amanat hain
Ye hont aur ye bahein
Meri amanat hain
Kabhi kabhi mere dil mein
khayaal aata hai
Ke jaise bajti hain
Shehnaiyan si, rahon mein
Kei jaise bajti hain
Shehnaiyan si, rahon mein
Suhaag raat hai
Ghoonghat utha raha hun main
Suhaag raat hai
Ghoonghat utha raha hoon main
Simat rahi hai tu sharmake
Apni baahon mein
Simat rahi hai tu sharmake
Apni baahon mein
Kabhi kabhi mere dil mein
khayaal aata hai
Ke jaise tu mujhe chaahegi
Umr bhar yoohin
Uthegi meri taraf pyar ki nazar yoohin
Main jaanta hoon ke tu ghair hai
Magar yoohin
Main jaanta hoon ki tu ghair hai
Magar yoohin
Kabhi kabhi mere dil mein
khayaal aata hai