menu-iconlogo
logo

Naal Naal

logo
Paroles
Peechhe hattna kya

Hota hai pata nai

Yahin khada hun koi sakta hata nai

Mainr sikhi duniya se

Bas ek cheeze

Insaan sala kissi ka saga nahi

Dhokhe khaye bewafai kabhi ki nai

Jeeya gaya par kari maine

Jaate rahe log chhodke musibat me

Bhikh maine zindagi me kabhi li nai

Naal naal naal koi raha na

Haal haal kisi se kaha na

Log log kehte tu khush hai

Gum koi na jo maine saha na

Naal naal naal koi raha na

Haal haal kisi se kaha na

Rog log kehte tu khush hai

Gum koi na jo maine saha na

Baap rota dekha raato

Ko hai maa jagi

Tera dil toota chote

Mujhe bhukh laagi

Paani tapakta mera

Kaccha makan tha

Tu ac mein soya yaha

Pankha bhi na tha

Roti ke liye kya kya na

Kara hain

Rooh mar chuki hai

Dhancha jinda khada hain

Mat karo mere aage bhukh ki baat

Yaha aansuo se maine

Mera pet bhara hain

Kayi apno mein ek apna laga

Fir dedi kisi aur ko usne meri jagah

Adam pe adam yakeen kya kare

Jaha adam bhi nikla na rabb ka saga

Naal naal naal koi raha na

Haal haal kisi se kaha na

Log log kehte tu khush hai

Gum koi na jo maine saha na

Naal naal naal koi raha na

Haal haal kisi se kaha na

Log log kehte tu khush hai

Gum koi na jo maine saha na

Raat na thi koyi jisme roya ni akela

Zaroorte hazaar par

Jeb me na thela

Taaliyan bajate log

Dekh mere aansu

Koi shakhs nahi tha

Aisa jisne dil se ni khela

Jo toot ke khada hai

Mai us ghar sa hun

Monsoon ki tarah mai

Saalo saal barsa hun

Tum sharab ke shaukeen ho sahab

Aur main aadhi umar

Bas doodh ko tarsa hun

Jab bhi maanga maine

Kisi ka bhi saath

Saath ke badle me laath mile

Logo ki chaukhat pe

Jholi failane se

Ashqo ke khairat mile

Rishtedaar chale jaate the

Rishtedaaro se milke mann

Karta tha mera bhi koi

Aake mere saath mile

Jiske paas jau thake maar nikalta

Maa baap na hote toh

Mujhe koi na paalta

Dil tootne pe sala toot bhi na saka

Jo main toot jaata toh

Ghar kaun sambhalta

Jiska kad khuda ne uncha kiya

Koi kaise use gadega

Main marke zinda huya hun dost

Koi kya mujhe marega

Naal naal naal koi raha na

Haal haal kisi se kaha na

Log log kehte tu khush hai

Gum koi na jo maine saha na

Naal naal naal koi raha na

Haal haal kisi se kaha na

Log log kehte tu khush hai

Gum koi na jo maine saha na

Naal Naal par Prabh Gill - Paroles et Couvertures