menu-iconlogo
logo

Hoon Mai Khush

logo
Paroles
Abhi pada nahi rahun mai bistar pe

Ada nahi rahun mai ab zidd pe

Chala to hoon mai khitpit bhi bohot hai

Lage ye weaker se

Jo kehte ki Rath tu hai ni enough

Mai karun ni gaur na deta zeenat

Mai sehta zillat thodi kehta ni kuch

Par ye meri ana ni maanegi truth

Hai kehne ki ise bhi lagi bimaari

Kehdun anaari wo bairi ya saathi

Mai dhariya saadhe bas karun tapasya

Koi mohini ki hila ni paari

Mai akela bhaari ni chahiyenge saathi

Kalam kitaab sang hojau bairaagi

Ram ka naam kitaab Kabir ki

Hai ye fakeeri to hoju bikhaari

Ye duniya bhi dukh mujhe de hi ni paari

In logon se dubhar ni inka abhaari

Inhone apnaya na apnyaaya usne

Usi ke kadmon me zindagi saari

Hoon mai khush hoon mai khush

Hoon mai khush kyun phir has na sakun

Hoon mai khush hoon mai khush

Uska chehra hoon murjhau na

Aage aaya hoon itna ab mudh jaau kya?

Hasun rou na khelun na murda hoon kya?

Abhi uljhi taaron ko mai suljhaaun na

Dekhon bele hai khubsoorat nihaaro na

Mai na gaata to paata na jeevan itna

Jitna khuda ne baqsh diya

Maine gaanon me aks aur ashq diya

Maine taanon ke beech se rasta liya

Begaanon ke beech me ghar sa liya

Maine apno ko apne bar ka liya

Maine sapnon ko apne sar na liya

Kiya dil se sada kaam darr na liya

Lage janta ko kaisa hai bhay sa bhi thoda

Coz janta hi tay karti kaisa hai londa?

Par pooche kabhi na ki kaisa hai bhai

To bhai bhi hansa aur basta liya

Basta liya naya sa rasta liya

Rasta khaali na lage to basta bhara

Baste me kitaabe zubaan auliyaan

Thoda hansa mudha dekha chal sa diya

Hoon mai khush hoon mai khush

Hoon mai khush kyun phir has na sakun

Hoon mai khush hoon mai khush

Uska chehra hoon murjhau na

Hoon Mai Khush par Rath - Paroles et Couvertures